panw paDta hua rasta nahin dekha jata
paañv paḌtā huā rasta nahīñ dekhā jaatā
jaane vaale tirā jaanā nahīñ dekhā jaatā
terī marzī hai jidhar uñglī pakaḌ kar le jā
mujh se ab tere alāva nahīñ dekhā jaatā
ye hasad hai ki mohabbat kī ijāra-dārī
darmiyāñ apnā bhī saaya nahīñ dekhā jaatā
tū bhī ai shaḳhs kahāñ tak mujhe bardāsht kare
baar baar ek hī chehra nahīñ dekhā jaatā
ye tire chāhne vaale bhī ajab haiñ jānāñ
ishq karte haiñ ki hotā nahīñ dekhā jaatā
ye tere baa'd khulā hai ki judā.ī kyā hai
mujh se ab koī akelā nahīñ dekhā jaatā
panw paDta hua rasta nahin dekha jata
jaane wale tera jaana nahin dekha jata
teri marzi hai jidhar ungli pakaD kar le ja
mujh se ab tere alawa nahin dekha jata
ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari
darmiyan apna bhi saya nahin dekha jata
tu bhi ai shaKHs kahan tak mujhe bardasht kare
bar bar ek hi chehra nahin dekha jata
ye tere chahne wale bhi ajab hain jaanan
ishq karte hain ki hota nahin dekha jata
ye tere ba'd khula hai ki judai kya hai
mujh se ab koi akela nahin dekha jata
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 21)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.