bekasi-e-shab-e-hijran ki mujhe tab nahin
bekasī-e-shab-e-hijrāñ kī mujhe taab nahīñ
kaash dushman hī chale aa.eñ jo ahbāb nahīñ
tujh ko ai baḳht-e-siyah aag lagā kar dekhūñ
shab-e-hijrāñ meñ agar jalva-e-mahtāb nahīñ
dekh but-ḳhāne meñ tasvīr kā aalam ai shaiḳh
yaañ musallā nahīñ mimbar nahīñ mehrāb nahīñ
nāma-bar mujh se ye kahtā hai ki tum to kyā ho
bādshah bhī to vahāñ qābil-e-alqāb nahīñ
na mile mujh ko mire haal pe rone vaale
aish kaisā ki yahāñ ġham ke bhī asbāb nahīñ
hāl-e-dil jis se kahā us ne kahā bas ḳhāmosh
'dāġh' is dard ke sunñe kī hameñ taab nahīñ
bekasi-e-shab-e-hijran ki mujhe tab nahin
kash dushman hi chale aaen jo ahbab nahin
tujh ko ai baKHt-e-siyah aag laga kar dekhun
shab-e-hijran mein agar jalwa-e-mahtab nahin
dekh but-KHane mein taswir ka aalam ai shaiKH
yan musalla nahin mimbar nahin mehrab nahin
nama-bar mujh se ye kahta hai ki tum to kya ho
baadshah bhi to wahan qabil-e-alqab nahin
na mile mujh ko mere haal pe rone wale
aish kaisa ki yahan gham ke bhi asbab nahin
haal-e-dil jis se kaha us ne kaha bas KHamosh
'dagh' is dard ke sunne ki hamein tab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.