bekasi had se jab guzar jae
bekasī had se jab guzar jaa.e
koī ai dil jiye kī mar jaa.e
zindagī se kaho dulhan ban ke
aaj to do ghaḌī sañvar jaa.e
un ko jī bhar ke dekh lene de
dil kī dhaḌkan zarā Thahar jaa.e
ham haiñ apnī hī jaan ke dushman
kyuuñ ye ilzām un ke sar jaa.e
mere naġhmoñ se un kā dil na dukhe
ġham nahīñ mujh pe jo guzar jaa.e
bekasi had se jab guzar jae
koi ai dil jiye ki mar jae
zindagi se kaho dulhan ban ke
aaj to do ghaDi sanwar jae
un ko ji bhar ke dekh lene de
dil ki dhaDkan zara Thahar jae
hum hain apni hi jaan ke dushman
kyun ye ilzam un ke sar jae
mere naghmon se un ka dil na dukhe
gham nahin mujh pe jo guzar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.