bekasi jab kisi bazar mein aa jati hai
bekasī jab kisī bāzār meñ aa jaatī hai
ik havas jaise ḳharīdār meñ aa jaatī hai
rāt-bhar chīḳhtī phirtī hai ḳhabar bastī meñ
phir taḌaptī huī aḳhbār meñ aa jaatī hai
merā ham-sāya bhī rotā hai jo apne ghar meñ
ik namī sī mirī dīvār meñ aa jaatī hai
ham to sūkhe hue dariyā meñ bhī utre lekin
apnī kashtī hai ki mañjdhār meñ aa jaatī hai
dard to dil se zabāñ tak bhī nahīñ aa paayā
phir bhī talḳhī hai ki ash'ār meñ aa jaatī hai
jo mire dil pe guzartī hai tujhe kyā mā'lūm
jab razā bhī tire inkār meñ aa jaatī hai
māh-e-ramzān meñ ranjish bhī mohabbat ban kar
muskurātī huī iftār meñ aa jaatī hai
ye jo har baat pe tum aah sī bharte ho 'nafas'
ik 'alāmat hai jo bīmār meñ aa jaatī hai
bekasi jab kisi bazar mein aa jati hai
ek hawas jaise KHaridar mein aa jati hai
raat-bhar chiKHti phirti hai KHabar basti mein
phir taDapti hui aKHbar mein aa jati hai
mera ham-saya bhi rota hai jo apne ghar mein
ek nami si meri diwar mein aa jati hai
hum to sukhe hue dariya mein bhi utre lekin
apni kashti hai ki manjdhaar mein aa jati hai
dard to dil se zaban tak bhi nahin aa paya
phir bhi talKHi hai ki ash'ar mein aa jati hai
jo mere dil pe guzarti hai tujhe kya ma'lum
jab raza bhi tere inkar mein aa jati hai
mah-e-ramzan mein ranjish bhi mohabbat ban kar
muskuraati hui iftar mein aa jati hai
ye jo har baat pe tum aah si bharte ho 'nafas'
ek 'alamat hai jo bimar mein aa jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.