bekasi ka haal mayyat se ayan ho jaega
bekasī kā haal mayyat se ayaañ ho jā.egā
be-zabāñ honā mirā goyā zabāñ ho jā.egā
shauq se dil ko miTā do lekin itnā soch lo
is ke har zarre se paidā ik jahāñ ho jā.egā
dil ke bahlāne ko aao aaj naale hī kareñ
āsmāñ ke zarf kā bhī imtihāñ ho jā.egā
vaqt ḳhud mānūs kar detā hai ai taaza asiir
chand din rah le qafas bhī āshiyāñ ho jā.egā
'abr' maiñ kyā kah sakūñgā un se hāl-e-dard-e-dil
jo zabāñ se lafz niklegā fuġhāñ ho jā.egā
bekasi ka haal mayyat se ayan ho jaega
be-zaban hona mera goya zaban ho jaega
shauq se dil ko miTa do lekin itna soch lo
is ke har zarre se paida ek jahan ho jaega
dil ke bahlane ko aao aaj nale hi karen
aasman ke zarf ka bhi imtihan ho jaega
waqt KHud manus kar deta hai ai taza asir
chand din rah le qafas bhi aashiyan ho jaega
'abr' main kya kah sakunga un se haal-e-dard-e-dil
jo zaban se lafz niklega fughan ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.