beTa hai na beTi hai man bap na bhai hai
beTa hai na beTi hai man bap na bhai hai
Inayat Ali Khan Inayat
MORE BYInayat Ali Khan Inayat
beTā hai na beTī hai maañ baap na bhaa.ī hai
duniyā meñ agar kuchh hai ai logo lugā.ī hai
ai duḳhtar-e-raz shāyad tū josh meñ aa.ī hai
muñh lagtī hai mardoñ ke kyā shoḳh lugā.ī hai
chillātī huī maamā chimTā liye aa.ī hai
jab ham ne tire dar kī zanjīr hilā.ī hai
ai shaiḳh na pūchho tum sattū bhare haath apne
ḳhāliq se Daro hazrat masjid kī chaTā.ī hai
hai ḳhushk lahū merā aur nafs kashākash meñ
vaañ qatl ko qātil hai yaañ ḳhatna ko naa.ī hai
kī fikr 'ināyat' ne mai-ḳhvāroñ kī dāvat kī
ḳhālā kā liyā baalā nath maañ kī uḌaa.ī hai
beTa hai na beTi hai man bap na bhai hai
duniya mein agar kuchh hai ai logo lugai hai
ai duKHtar-e-raz shayad tu josh mein aai hai
munh lagti hai mardon ke kya shoKH lugai hai
chillati hui mama chimTa liye aai hai
jab hum ne tere dar ki zanjir hilai hai
ai shaiKH na puchho tum sattu bhare hath apne
KHaliq se Daro hazrat masjid ki chaTai hai
hai KHushk lahu mera aur nafs kashakash mein
wan qatl ko qatil hai yan KHatna ko nai hai
ki fikr 'inayat' ne mai-KHwaron ki dawat ki
KHala ka liya baala nath man ki uDai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.