betab hain kisi ki nigahen naqab mein
betāb haiñ kisī kī nigāheñ naqāb meñ
haiñ bijliyāñ ki kauñd rahī haiñ sahāb meñ
likkhūñgā ḳhat meñ ḳhuub adū kī burā.iyāñ
ho kar ḳhafā vo kuchh na likheñge javāb meñ
ham ko hai un kī fikr to un ko adū kī fikr
donoñ haiñ ek silsila-e-iztirāb meñ
us chheḌ ke nisār ki sun kar savāl-e-vasl
ā.īna rakh diyā mire aage javāb meñ
yāroñ maiñ bū-e-mehr-o-mohabbat nahīñ 'nasīm'
kyā ḳhaak uḌ rahī hai jahān-e-ḳharāb meñ
betab hain kisi ki nigahen naqab mein
hain bijliyan ki kaund rahi hain sahab mein
likkhunga KHat mein KHub adu ki buraiyan
ho kar KHafa wo kuchh na likhenge jawab mein
hum ko hai un ki fikr to un ko adu ki fikr
donon hain ek silsila-e-iztirab mein
us chheD ke nisar ki sun kar sawal-e-wasl
aaina rakh diya mere aage jawab mein
yaron main bu-e-mehr-o-mohabbat nahin 'nasim'
kya KHak uD rahi hai jahan-e-KHarab mein
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 153)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.