betab hun bebak hun is se bhi siwa hun
betāb huuñ bebāk huuñ is se bhī sivā huuñ
ḳhākī huuñ magar kaun sī miTTī kā banā huuñ
aayā hai agar vaqt to suulī pe chaḌhā huuñ
injīl-e-mohabbat kā maiñ kirdār rahā huuñ
maiñ dajla-e-kohsār huuñ sailāb-numā huuñ
sarkash huuñ magar ūñchī chaTānoñ meñ ghirā huuñ
aurāq-e-dabistāñ meñ ye sarsabz manāzir
pazhmurda kitāboñ meñ kise dekh rahā huuñ
maiñ aaj bhī huuñ lāla-e-firdaus-e-ma'ānī
lekin ye musībat hai ki sahrā meñ khilā huuñ
palTā huuñ to khulne lage maazī ke darīche
manzil ne qadam mere liye haiñ jo baḌhā huuñ
un ko bhī hai shiddat se mulāqāt kī ḳhvāhish
ik 'umr se har samt jinheñ DhūñD rahā huuñ
hassās balā kā huuñ magar vaqt-e-tahammul
mā'lūm ye hotā hai ki patthar kā banā huuñ
yaad aa.ī to mahsūs huā jaise koī chiiz
rakh dī hai kisī taaq pe aur bhuul gayā huuñ
mujh se hī 'ibārat hai ye sar-garmī-e-'ālam
maiñ sīna-e-getī ke dhaḌakne kī sadā huuñ
andāz-e-suḳhan laakh badaltā rahe 'māhir'
har haal meñ shā'ir huuñ mohabbat kī sadā huuñ
betab hun bebak hun is se bhi siwa hun
KHaki hun magar kaun si miTTi ka bana hun
aaya hai agar waqt to suli pe chaDha hun
injil-e-mohabbat ka main kirdar raha hun
main dajla-e-kohsar hun sailab-numa hun
sarkash hun magar unchi chaTanon mein ghira hun
auraq-e-dabistan mein ye sarsabz manazir
pazhmurda kitabon mein kise dekh raha hun
main aaj bhi hun lala-e-firdaus-e-ma'ani
lekin ye musibat hai ki sahra mein khila hun
palTa hun to khulne lage mazi ke dariche
manzil ne qadam mere liye hain jo baDha hun
un ko bhi hai shiddat se mulaqat ki KHwahish
ek 'umr se har samt jinhen DhunD raha hun
hassas bala ka hun magar waqt-e-tahammul
ma'lum ye hota hai ki patthar ka bana hun
yaad aai to mahsus hua jaise koi chiz
rakh di hai kisi taq pe aur bhul gaya hun
mujh se hi 'ibarat hai ye sar-garmi-e-'alam
main sina-e-geti ke dhaDakne ki sada hun
andaz-e-suKHan lakh badalta rahe 'mahir'
har haal mein sha'ir hun mohabbat ki sada hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.