betab to kafir hai musalman nahin hai
'betāb' to kāfir hai musalmān nahīñ hai
aur is pe sitam ye ki pashemān nahīñ hai
ye ishq kī manzil hai zarā soch-samajh kar
ye tajraba apnā hai ki āsān nahīñ hai
har baat pe kahte ho jo āmīn ka.ī baar
kyā tum ko mirī baat par īmān nahīñ hai
vo dil meñ mire dil ke liye soch rahe haiñ
mil jaa.e agar muft to nuqsān nahīñ hai
ab to sar-e-bālīñ mire ro.o na ḳhudārā
dekho to ki is jism meñ ab jaan nahīñ hai
'betab' to kafir hai musalman nahin hai
aur is pe sitam ye ki pasheman nahin hai
ye ishq ki manzil hai zara soch-samajh kar
ye tajraba apna hai ki aasan nahin hai
har baat pe kahte ho jo aamin kai bar
kya tum ko meri baat par iman nahin hai
wo dil mein mere dil ke liye soch rahe hain
mil jae agar muft to nuqsan nahin hai
ab to sar-e-baalin mere roo na KHudara
dekho to ki is jism mein ab jaan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.