betabi-e-dil shauq ka izhaar na kar de
betābī-e-dil shauq kā iz.hār na kar de
us shoḳh ko ulfat se ḳhabar-dār na kar de
gar ye hī farāvāniyāñ haiñ dard-o-alam kī
ye ishq kahīñ jiine se bezār na kar de
hai un ko shifā pursish-e-dar-parda se manzūr
Dar hai ye mujhe aur bhī bīmār na kar de
vo pūchhte haiñ hai tujhe kyā mujh se mohabbat
merā dil-e-nādāñ kahīñ iqrār na kar de
'armāñ' ko tirā dekhnā muḌ kar dam-e-ruḳhsat
ḳhvābīda tamannāoñ ko bedār na kar de
betabi-e-dil shauq ka izhaar na kar de
us shoKH ko ulfat se KHabar-dar na kar de
gar ye hi farawaniyan hain dard-o-alam ki
ye ishq kahin jine se bezar na kar de
hai un ko shifa pursish-e-dar-parda se manzur
Dar hai ye mujhe aur bhi bimar na kar de
wo puchhte hain hai tujhe kya mujh se mohabbat
mera dil-e-nadan kahin iqrar na kar de
'arman' ko tera dekhna muD kar dam-e-ruKHsat
KHwabida tamannaon ko bedar na kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.