betabiyon ko meri baDhane lagi hawa
betābiyoñ ko merī baḌhāne lagī havā
ruḳh se naqāb un kā uThāne lagī havā
pahle bhī kar chukī hai mirā āshiyāñ tabāh
tevar phir aaj apne dikhāne lagī havā
un kī talāsh koī bhalā kis tarah kare
naqsh-e-qadam bhī un ke miTāne lagī havā
pūrab se jab chalī to hare zaḳhm ho ga.e
dil meñ ajiib Tiis uThāne lagī huā
lagtā hai ḳhush nahīñ hai ye 'ġhāzī' se in dinoñ
sehn-e-chaman meñ dhuul uḌāne lagī huā
betabiyon ko meri baDhane lagi hawa
ruKH se naqab un ka uThane lagi hawa
pahle bhi kar chuki hai mera aashiyan tabah
tewar phir aaj apne dikhane lagi hawa
un ki talash koi bhala kis tarah kare
naqsh-e-qadam bhi un ke miTane lagi hawa
purab se jab chali to hare zaKHm ho gae
dil mein ajib Tis uThane lagi hua
lagta hai KHush nahin hai ye 'ghazi' se in dinon
sehn-e-chaman mein dhul uDane lagi hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.