bewafa ab na mohabbat ki duhai dunga
bevafā ab na mohabbat kī duhā.ī dūñgā
zindagī bhar maiñ tujhe zaḳhm-e-judā.ī dūñgā
jo mujhe jaisā samajhtā hai samajhne diije
apne baare meñ kahāñ tak maiñ safā.ī dūñgā
mere hisse meñ bhī aaya hai bulandī kā safar
āsmāñ vāloñ tumheñ maiñ bhī dikhā.ī dūñgā
baḳhsh degā vo mirī saarī ḳhatā.eñ fauran
us kī rahmat kī use itnī duhā.ī dūñgā
apne māñ-bāp ko kāñdhā bhī nahīñ de paayā
jo ye kahtā thā unheñ saarī kamā.ī dūñgā
maiñ safīrān-e-mohabbat kī sadā huuñ 'ālam'
mar bhī jā.ūñ to zamāne ko sunā.ī dūñgā
bewafa ab na mohabbat ki duhai dunga
zindagi bhar main tujhe zaKHm-e-judai dunga
jo mujhe jaisa samajhta hai samajhne dije
apne bare mein kahan tak main safai dunga
mere hisse mein bhi aaya hai bulandi ka safar
aasman walon tumhein main bhi dikhai dunga
baKHsh dega wo meri sari KHataen fauran
us ki rahmat ki use itni duhai dunga
apne man-bap ko kandha bhi nahin de paya
jo ye kahta tha unhen sari kamai dunga
main safiran-e-mohabbat ki sada hun 'alam'
mar bhi jaun to zamane ko sunai dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.