bewafa ba-wafa nahin hota
bevafā bā-vafā nahīñ hotā
varna duniyā meñ kyā nahīñ hotā
ab zamāne meñ ek bhī sajda
zer-e-ḳhanjar adā nahīñ hotā
sunte aa.e haiñ sar hathelī par
rakhne vaalā fanā nahīñ hotā
chauk jaate the baat hai kal kī
ab nishāna ḳhatā nahīñ hotā
jo burā sochte haiñ auroñ kā
un kā apnā bhalā nahīñ hotā
baad luTne ke ye huā ma.alūm
rāhzan rahnumā nahīñ hotā
zindagī yuuñ guzārtā hai vo
kuchh bhī kah do ḳhafā nahīñ hotā
zard hone ke baad ai 'ashraf'
koī pattā harā nahīñ hotā
bewafa ba-wafa nahin hota
warna duniya mein kya nahin hota
ab zamane mein ek bhi sajda
zer-e-KHanjar ada nahin hota
sunte aae hain sar hatheli par
rakhne wala fana nahin hota
chauk jate the baat hai kal ki
ab nishana KHata nahin hota
jo bura sochte hain auron ka
un ka apna bhala nahin hota
baad luTne ke ye hua malum
rahzan rahnuma nahin hota
zindagi yun guzarta hai wo
kuchh bhi kah do KHafa nahin hota
zard hone ke baad ai 'ashraf'
koi patta hara nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.