bewafa gar hai wo tajdid-e-wafa ho kaise
bevafā gar hai vo tajdīd-e-vafā ho kaise
dard hī dil kī davā ho to davā ho kaise
vo kabhī 'mīr' hai likhtā kabhī ḳhud ko 'ġhālib'
harf aa jā.egā tanqīd ravā ho kaise
jalva-gar har-sū farozāñ jo daraḳhshāñ mujh meñ
ho na gar duur nigāhoñ se ḳhudā ho kaise
ishq kab khel tamāsha hai ye koī dil kā
qarz hai sar pe mere koī adā ho kaise
maiñ ki ik banda-e-ḳhātī huuñ khaḌā huuñ dar par
lafz majbūr haiñ sab hamd-o-sanā ho kaise
maiñ huuñ yā tum hameñ jiinā hai kisī kī ḳhātir
ruuh kā jism se rishta hai judā ho kaise
ab to bas ye hai ki ho jaa.eñ fanā ham donoñ
kyā kareñ umr ye ab sarf-e-duā ho kaise
sirf patthar hī nahīñ ho bhī lahū kuchh dil meñ
sar paTakne se koī rang-e-hinā ho kaise
bewafa gar hai wo tajdid-e-wafa ho kaise
dard hi dil ki dawa ho to dawa ho kaise
wo kabhi 'mir' hai likhta kabhi KHud ko 'ghaalib'
harf aa jaega tanqid rawa ho kaise
jalwa-gar har-su farozan jo daraKHshan mujh mein
ho na gar dur nigahon se KHuda ho kaise
ishq kab khel tamasha hai ye koi dil ka
qarz hai sar pe mere koi ada ho kaise
main ki ek banda-e-KHati hun khaDa hun dar par
lafz majbur hain sab hamd-o-sana ho kaise
main hun ya tum hamein jina hai kisi ki KHatir
ruh ka jism se rishta hai juda ho kaise
ab to bas ye hai ki ho jaen fana hum donon
kya karen umr ye ab sarf-e-dua ho kaise
sirf patthar hi nahin ho bhi lahu kuchh dil mein
sar paTakne se koi rang-e-hina ho kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.