bewafa gar sanam nahin hota
bevafā gar sanam nahīñ hotā
tark-e-ulfat kā ġham nahīñ hotā
tum na hañste jo mere rone par
dil-shikan itnā ġham nahīñ hotā
rāste bante kaTte jaate haiñ
fāsla hai ki kam nahīñ hotā
bhuul jaate mujhe jahāñ vaale
zikr gar dam-ba-dam nahīñ hotā
apne kirdār kī karāmat hai
yuuñ koī mohtaram nahīñ hotā
sat.h-bīnī se haT ke dekho to
dil samundar se kam nahīñ hotā
bewafa gar sanam nahin hota
tark-e-ulfat ka gham nahin hota
tum na hanste jo mere rone par
dil-shikan itna gham nahin hota
raste bante kaTte jate hain
fasla hai ki kam nahin hota
bhul jate mujhe jahan wale
zikr gar dam-ba-dam nahin hota
apne kirdar ki karamat hai
yun koi mohtaram nahin hota
sath-bini se haT ke dekho to
dil samundar se kam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.