bewafa pae gae husn ke paikar kitne
bevafā paa.e ga.e husn ke paikar kitne
phir bhī vābasta rahe un se muqaddar kitne
uTh ga.e mahfil-e-duniyā se suḳhanvar kitne
un meñ guzre haiñ sadāqat ke payambar kitne
aaj ban baiThe haiñ but-ḳhānoñ kī 'azmat ke nishāñ
mere hāthoñ ke tarāshe hue patthar kitne
ġhair mumkin nahīñ tasḳhīr-e-zamāna lekin
aap ke paas haiñ aḳhlāq ke zevar kitne
nekiyāñ kar ke bhulā denā hai sheva jin kā
dekhiye bastī meñ aise haiñ tavañgar kitne
duur kar dete haiñ ahbāb-o-aqārib ko nadīm
muñh se nikle hue alfāz ke nashtar kitne
imtihāñ le ke ka.ī baar falak ne dekhā
ḳhaak ke putle meñ poshīda haiñ jauhar kitne
rahnumā.ī kā kabhī dā'vā kiyā karte the
biich tūfān ke hamrāh the rahbar kitne
pur-sukūñ daur kī hasrat meñ ḳhudā jaane 'azīz'
dekhne hoñge hameñ ḳhuun ke manzar kitne
bewafa pae gae husn ke paikar kitne
phir bhi wabasta rahe un se muqaddar kitne
uTh gae mahfil-e-duniya se suKHanwar kitne
un mein guzre hain sadaqat ke payambar kitne
aaj ban baiThe hain but-KHanon ki 'azmat ke nishan
mere hathon ke tarashe hue patthar kitne
ghair mumkin nahin tasKHir-e-zamana lekin
aap ke pas hain aKHlaq ke zewar kitne
nekiyan kar ke bhula dena hai shewa jin ka
dekhiye basti mein aise hain tawangar kitne
dur kar dete hain ahbab-o-aqarib ko nadim
munh se nikle hue alfaz ke nashtar kitne
imtihan le ke kai bar falak ne dekha
KHak ke putle mein poshida hain jauhar kitne
rahnumai ka kabhi da'wa kiya karte the
bich tufan ke hamrah the rahbar kitne
pur-sukun daur ki hasrat mein KHuda jaane 'aziz'
dekhne honge hamein KHun ke manzar kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.