Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bewafa raste badalte hain

Bashir Badr

bewafa raste badalte hain

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    bevafā rāste badalte haiƱ

    ham-safar saath saath chalte haiƱ

    kis ke aaƱsÅ« chhupe haiƱ phÅ«loƱ meƱ

    chÅ«mtā huuƱ to hoƱT jalte haiƱ

    us kī āƱkhoƱ ko Ĕhaur se dekho

    mandiroƱ meƱ charāĔh jalte haiƱ

    dil meƱ rah kar nazar nahīƱ aate

    aise kāƱTe kahāƱ nikalte haiƱ

    ek dīvār vo bhī shīshe kī

    do badan paas paas jalte haiƱ

    vo sitāre mire sitāre haiƱ

    jo bharī dhuup meƱ nikalte haiƱ

    kāƱch ke motiyoƱ ke aaƱsÅ« ke

    sab khilaune Ĕhazal meƱ Dhalte haiƱ

    bewafa raste badalte hain

    ham-safar sath sath chalte hain

    kis ke aansu chhupe hain phulon mein

    chumta hun to honT jalte hain

    us ki aankhon ko ghaur se dekho

    mandiron mein charagh jalte hain

    dil mein rah kar nazar nahin aate

    aise kanTe kahan nikalte hain

    ek diwar wo bhi shishe ki

    do badan pas pas jalte hain

    wo sitare mere sitare hain

    jo bhari dhup mein nikalte hain

    kanch ke motiyon ke aansu ke

    sab khilaune ghazal mein Dhalte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now