bewafa tha to nahin wo, magar aisa bhi hua
bevafā thā to nahīñ vo, magar aisā bhī huā
vo jo apnā thā bahut aur kisī kā bhī huā
terī ḳhushbū bhī tire zaḳhm meñ malfūf milī
tujh se ghā.il bhī huā aur maiñ achchhā bhī huā
raah de dī tire bādal ko guzarne ke liye
varna ye dil to tirī pyaas se sahrā bhī huā
shukr vājib thā ise terī mohabbat kaa, so dil
terā yūsuf bhī rahā, aur zuleḳhā bhī huā
bhiiḌ vo thī tirī chaukhaT pe talab-gāroñ kī
koī be-lams rahā terā bulāyā bhī huā
maiñ ne tasvīr banā.ī to muḳhātib bhī hui
harf ko haath lagāyā to vo zinda bhī huā
sajda-e-marg se māthe ko uThāyā ik roz
maiñ huā ḳhaak to phir ḳhaak se paidā bhī huā
jitnā ujḌā hai koī shahr-e-tamannā ai dil
kabhī lagtā hī na thā itnā basāyā bhī huā
bewafa tha to nahin wo, magar aisa bhi hua
wo jo apna tha bahut aur kisi ka bhi hua
teri KHushbu bhi tere zaKHm mein malfuf mili
tujh se ghail bhi hua aur main achchha bhi hua
rah de di tere baadal ko guzarne ke liye
warna ye dil to teri pyas se sahra bhi hua
shukr wajib tha ise teri mohabbat ka, so dil
tera yusuf bhi raha, aur zuleKHa bhi hua
bhiD wo thi teri chaukhaT pe talab-garon ki
koi be-lams raha tera bulaya bhi hua
main ne taswir banai to muKHatib bhi hui
harf ko hath lagaya to wo zinda bhi hua
sajda-e-marg se mathe ko uThaya ek roz
main hua KHak to phir KHak se paida bhi hua
jitna ujDa hai koi shahr-e-tamanna ai dil
kabhi lagta hi na tha itna basaya bhi hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.