bewafa tujhse kuchh gila hi nahin
bewafa tujhse kuchh gila hi nahin
Sayyad Mohammad Meer Asar
MORE BYSayyad Mohammad Meer Asar
bevafā tujh se kuchh gilā hī nahīñ
tū to goyā ki āshnā hī nahīñ
yā ḳhudā paas yā butāñ ke paas
dil kabhū apne haañ rahā hī nahīñ
dil se jo chāhiye so bāñdhiye baat
maiñ ne vallāh kuchh kahā hī nahīñ
tere kūcha se aah jaane ko
dil nahīñ yā ki apne pā hī nahīñ
yaañ taġhāful meñ apnā kaam huā
tere nazdīk ye jafā hī nahīñ
naame bulbul ne go hazār kiye
ek bhī gul ne par sunā hī nahīñ
kuchh na hotā 'asar' asar us ko
bhale ko naala tū kiyā hī nahīñ
bewafa tujh se kuchh gila hi nahin
tu to goya ki aashna hi nahin
ya KHuda pas ya butan ke pas
dil kabhu apne han raha hi nahin
dil se jo chahiye so bandhiye baat
main ne wallah kuchh kaha hi nahin
tere kucha se aah jaane ko
dil nahin ya ki apne pa hi nahin
yan taghaful mein apna kaam hua
tere nazdik ye jafa hi nahin
name bulbul ne go hazar kiye
ek bhi gul ne par suna hi nahin
kuchh na hota 'asar' asar us ko
bhale ko nala tu kiya hi nahin
- Deewan-e-asar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.