bewafa wada-shikan aur sitamgar nikla
bevafā va.ada-shikan aur sitamgar niklā
maiñ ne samjhā thā jise phuul vo patthar niklā
vo to lagtā thā hameñ shahr kā pāgal koī
ġhaur se jab use dekhā to payambar niklā
qais ham-sāya thā merā ye mujhe yaad na thā
DhūñDte DhūñDte sahrā meñ mirā ghar niklā
sar jhukāyā thā use jaan ke apne se baḌā
vo bhī afsos mire qad ke barābar niklā
mere mālik mire ehsās ko le le mujh se
merā ehsās to mere liye ḳhanjar niklā
tishna-lab pyaas se dam toḌ rahā thā jis dam
merī āñkhoñ se samundar kā samundar niklā
ek lamhe meñ pata chal gayā apnā mujh ko
jab mirā saaya mire jism se baḌh kar niklā
ho ga.e mujh se ḳhafā shahr-e-badan ke a.azā
merā bāġhī mirī bastī kā har ik ghar niklā
kis ko ilzām duuñ barbādī-e-dil kā maiñ 'umar'
merā dushman to mirā ḳhud hī muqaddar niklā
bewafa wada-shikan aur sitamgar nikla
main ne samjha tha jise phul wo patthar nikla
wo to lagta tha hamein shahr ka pagal koi
ghaur se jab use dekha to payambar nikla
qais ham-saya tha mera ye mujhe yaad na tha
DhunDte DhunDte sahra mein mera ghar nikla
sar jhukaya tha use jaan ke apne se baDa
wo bhi afsos mere qad ke barabar nikla
mere malik mere ehsas ko le le mujh se
mera ehsas to mere liye KHanjar nikla
tishna-lab pyas se dam toD raha tha jis dam
meri aankhon se samundar ka samundar nikla
ek lamhe mein pata chal gaya apna mujh ko
jab mera saya mere jism se baDh kar nikla
ho gae mujh se KHafa shahr-e-badan ke aaza
mera baghi meri basti ka har ek ghar nikla
kis ko ilzam dun barbaadi-e-dil ka main 'umar'
mera dushman to mera KHud hi muqaddar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.