bhag sanwara ja sakta tha
bhaag sañvārā jā saktā thā
ham ko maarā jā saktā thā
ik būḌhe dariyā tak chal kar
aaj kinārā jā saktā thā
un se milne kī ḳhātir to
sab kuchh vaarā jā saktā thā
chhoḌ ke jaane vaale terā
naam pukārā jā saktā thā
jo rishta marne vaalā thā
jaldī maarā jā saktā thā
us kī āñkheñ paḌh kar bhī to
vaqt guzārā jā saktā thā
lā-yānī se misroñ ko bhī
ḳhuub sañvārā jā saktā thā
bhag sanwara ja sakta tha
hum ko mara ja sakta tha
ek buDhe dariya tak chal kar
aaj kinara ja sakta tha
un se milne ki KHatir to
sab kuchh wara ja sakta tha
chhoD ke jaane wale tera
nam pukara ja sakta tha
jo rishta marne wala tha
jaldi mara ja sakta tha
us ki aankhen paDh kar bhi to
waqt guzara ja sakta tha
la-yani se misron ko bhi
KHub sanwara ja sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.