bhai badal gaya kabhi beTa badal gaya
bhaa.ī badal gayā kabhī beTā badal gayā
aayā jo vaqt ḳhuun kā rishta badal gayā
har zulm-e-nā-ravā kā muḳhālif rahā thā jo
mansab milā to us kā bhī lahja badal gayā
vo sīdhe-sāde log vo chaupāl ab kahāñ
ek ek karke gaañv kā naqsha badal gayā
patthar vahī galī bhī vahī log bhī vahī
lekin sitam-shi.ār kā pesha badal gayā
dariyā-dilī pe apnī bahut naaz thā use
dekhī hamārī pyaas to rasta badal gayā
kaise hamāre gaañv kā hotā koī vikās
kursī badal ga.ī kabhī netā badal gayā
ab inqilāb-e-dahr kī bāteñ kahāñ 'niyāz'
jis fikr-o-fan pe naaz thā kab kā badal gayā
bhai badal gaya kabhi beTa badal gaya
aaya jo waqt KHun ka rishta badal gaya
har zulm-e-na-rawa ka muKHalif raha tha jo
mansab mila to us ka bhi lahja badal gaya
wo sidhe-sade log wo chaupal ab kahan
ek ek karke ganw ka naqsha badal gaya
patthar wahi gali bhi wahi log bhi wahi
lekin sitam-shiar ka pesha badal gaya
dariya-dili pe apni bahut naz tha use
dekhi hamari pyas to rasta badal gaya
kaise hamare ganw ka hota koi wikas
kursi badal gai kabhi neta badal gaya
ab inqilab-e-dahr ki baaten kahan 'niyaz'
jis fikr-o-fan pe naz tha kab ka badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.