Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhati hain dil ko pyare naz-o-adaen teri

Meeran Shah Jalandhari

bhati hain dil ko pyare naz-o-adaen teri

Meeran Shah Jalandhari

MORE BYMeeran Shah Jalandhari

    bhātī haiñ dil ko pyāre nāz-o-adā.eñ terī

    dil meñ ye aarzū hai le luuñ balā.eñ terī

    ik pal palak uThā kar dekho ba-nazr-e-rahmat

    asrār-e-ganj-e-maḳhfī āñkheñ lubhā.eñ terī

    zulf-e-siyah ke bal meñ aalam to mubtalā hai

    āshiq bhalā ye kis ko bāteñ sunā.eñ terī

    dīdār-e-haq-numā hai pyāre jamāl terā

    mastāna jalva-gariyāñ kyā kyā batā.eñ terī

    roz-e-azal se ham haiñ husn-o-liqā ke shā.eq

    sharm-o-hayā bāteñ kyā kyā sunā.eñ terī

    bas meñ nahīñ huuñ to hai phir kyā hijāb baaqī

    kab tak bhalā ye ramzeñ dil meñ samā.eñ terī

    ye ishq-soz mastī hai mīrāñ 'shāh' ko hāsil

    kyā kyā ye hālateñ haiñ mujh ko sujhā.eñ terī

    bhati hain dil ko pyare naz-o-adaen teri

    dil mein ye aarzu hai le lun balaen teri

    ek pal palak uTha kar dekho ba-nazr-e-rahmat

    asrar-e-ganj-e-maKHfi aankhen lubhaen teri

    zulf-e-siyah ke bal mein aalam to mubtala hai

    aashiq bhala ye kis ko baaten sunaen teri

    didar-e-haq-numa hai pyare jamal tera

    mastana jalwa-gariyan kya kya bataen teri

    roz-e-azal se hum hain husn-o-liqa ke shaeq

    sharm-o-haya ki baaten kya kya sunaen teri

    bas mein nahin hun to hai phir kya hijab baqi

    kab tak bhala ye ramzen dil mein samaen teri

    ye ishq-soz masti hai miran 'shah' ko hasil

    kya kya ye haalaten hain mujh ko sujhaen teri

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now