bhaDak jaane ki KHwahish kuchh to chingari mein rahti hai
bhaDak jaane ki KHwahish kuchh to chingari mein rahti hai
Ashraf Yaqubi
MORE BYAshraf Yaqubi
bhaḌak jaane kī ḳhvāhish kuchh to chingārī meñ rahtī hai
havā bhī us ko shah dene kī tayyārī meñ rahtī hai
use mā'lūm hai bachche bigaḌ jaate haiñ shoḳhī meñ
magar maañ hai ki bachchoñ kī taraf-dārī meñ rahtī hai
raqam kartā hai jo insān tanhā.ī ke saa.e meñ
kahānī har kisī ke dil kī almārī meñ rahtī hai
vafā ke ma.anī-o-matlab se kal nā-āshnā thī jo
ab aisī qaum bhī dars-e-vafādārī meñ rahtī hai
phir us ke baa'd maslī jaatī hai pā-e-hiqārat se
kalī khilne se pahle tak hī phulvārī meñ rahtī hai
sitam Dhātā hai dhartī par samundar aur ye dhartī
hamesha us ko sah lene kī tayyārī meñ rahtī hai
ye kaisā vaqt aayā hai hamāre sāmne 'ashraf'
police bhī āj-kal choroñ kī sardārī meñ rahtī hai
bhaDak jaane ki KHwahish kuchh to chingari mein rahti hai
hawa bhi us ko shah dene ki tayyari mein rahti hai
use ma'lum hai bachche bigaD jate hain shoKHi mein
magar man hai ki bachchon ki taraf-dari mein rahti hai
raqam karta hai jo insan tanhai ke sae mein
kahani har kisi ke dil ki almari mein rahti hai
wafa ke mani-o-matlab se kal na-ashna thi jo
ab aisi qaum bhi dars-e-wafadari mein rahti hai
phir us ke ba'd masli jati hai pa-e-hiqarat se
kali khilne se pahle tak hi phulwari mein rahti hai
sitam Dhata hai dharti par samundar aur ye dharti
hamesha us ko sah lene ki tayyari mein rahti hai
ye kaisa waqt aaya hai hamare samne 'ashraf'
police bhi aaj-kal choron ki sardari mein rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.