bhaDak uTha hai alaw tumhaari furqat ka
bhaḌak uThā hai alaav tumhārī furqat kā
nahīñ hai tum pe asar phir bhī kyuuñ mohabbat kā
ma.ānī hī to nahīñ kyā badal ga.e us ke
vafā ko naam jo dete ho tum aziyyat kā
tumhī batāo mire hoge aur kaise tum
ilāj-e-ijz bhī niklā nahīñ ra.ūnat kā
kisī ko pā liyā tum ne to chhoḌ kar mujh ko
koī ilaaj to kar do mirī bhī hasrat kā
bhaDak uTha hai alaw tumhaari furqat ka
nahin hai tum pe asar phir bhi kyun mohabbat ka
maani hi to nahin kya badal gae us ke
wafa ko nam jo dete ho tum aziyyat ka
tumhi batao mere hoge aur kaise tum
ilaj-e-ijz bhi nikla nahin raunat ka
kisi ko pa liya tum ne to chhoD kar mujh ko
koi ilaj to kar do meri bhi hasrat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.