bhaDakti aag ubalta dhuan banane ka
bhaḌaktī aag ubaltā dhuāñ banāne kā
muqābla hai ye ātish-fishāñ banāne kā
zamīñ kī shakl hī tū ne bigāḌ kar rakh dī
junūn chhoḌ ise āsmāñ banāne kā
judā.ī tai hai to kyoñ Tālte rahā jaa.e
ye iḳhtitām hai ab darmiyāñ banāne kā
havā se dhuup se sab se shikāyateñ haiñ hameñ
magar salīqa na aayā makāñ banāne kā
bhaDakti aag ubalta dhuan banane ka
muqabla hai ye aatish-fishan banane ka
zamin ki shakl hi tu ne bigaD kar rakh di
junun chhoD ise aasman banane ka
judai tai hai to kyon Talte raha jae
ye iKHtitam hai ab darmiyan banane ka
hawa se dhup se sab se shikayaten hain hamein
magar saliqa na aaya makan banane ka
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 77)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.