bhaDki hui hai sham-e-shabistan-e-zindagi
bhaḌkī huī hai sham-e-shabistān-e-zindagī
sho.ala na chuum le kahīñ dāmān-e-zindagī
marne ke baad phūloñ se turbat navāz dī
hotā hai kaun ziist meñ pursān-e-zindagī
aish-o-ḳhushī nashāt-o-tarab rāhat-o-sukūñ
haiñ in se baḌh ke kaun harīfān-e-zindagī
bār-e-alam uThāne ke qābil banā diyā
kyā kam huā hai mujh pe ye ehsān-e-zindagī
āġhāz-e-bāb-e-nau hai mirī maut ai 'amīn'
tabdīl kar rahā huuñ maiñ unvān-e-zindagī
bhaDki hui hai sham-e-shabistan-e-zindagi
shoala na chum le kahin daman-e-zindagi
marne ke baad phulon se turbat nawaz di
hota hai kaun zist mein pursan-e-zindagi
aish-o-KHushi nashat-o-tarab rahat-o-sukun
hain in se baDh ke kaun harifan-e-zindagi
bar-e-alam uThane ke qabil bana diya
kya kam hua hai mujh pe ye ehsan-e-zindagi
aaghaz-e-bab-e-nau hai meri maut ai 'amin'
tabdil kar raha hun main unwan-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.