bhala ab aur kahan zindagi nazar aae
bhalā ab aur kahāñ zindagī nazar aa.e
tumhāre baa'd hameñ kyā koī nazar aa.e
talāsh jis kī hai bas vo nazar nahīñ aatā
ye aur baat nazar ko vahī nazar aa.e
ye hoshiyār tujhe hoshiyār samjheñge
inheñ kahāñ tirī dīvāngī nazar aa.e
guzar to aa.e haiñ terī galī se ham lekin
jahāñ bhī jaa.eñ tirī hī galī nazar aa.e
ye rah-guzar jo mire saath saath chaltī thī
tirī galī meñ Thahartī huī nazar aa.e
nazar ga.ī thī hamārī jab aa.ine kī taraf
use lagā ki hameñ bhī hamī nazar aa.e
vo to nahīñ thā to phir kaun saath thā mere
koī to hogā magar kab koī nazar aa.e
tujhe dikhā.ī nahīñ de rahī magar 'momin'
kalām kar ki tujhe ḳhāmushī nazar aa.e
bhala ab aur kahan zindagi nazar aae
tumhaare ba'd hamein kya koi nazar aae
talash jis ki hai bas wo nazar nahin aata
ye aur baat nazar ko wahi nazar aae
ye hoshiyar tujhe hoshiyar samjhenge
inhen kahan teri diwangi nazar aae
guzar to aae hain teri gali se hum lekin
jahan bhi jaen teri hi gali nazar aae
ye rah-guzar jo mere sath sath chalti thi
teri gali mein Thaharti hui nazar aae
nazar gai thi hamari jab aaine ki taraf
use laga ki hamein bhi hami nazar aae
wo to nahin tha to phir kaun sath tha mere
koi to hoga magar kab koi nazar aae
tujhe dikhai nahin de rahi magar 'momin'
kalam kar ki tujhe KHamushi nazar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.