bhala chahega koi kya kisi ka
bhalā chāhegā koī kyā kisī kā
ho dushman aadmī jab aadmī kā
jafā-kārī hai zinda aap hī se
jafā-kārī hai sheva aap hī kā
mirā sheva hai iḳhlās-o-mohabbat
burā chāhūñgā maiñ kyūñkar kisī kā
ḳhudā kā shukr hai us bevafā ne
sabab pūchhā hai merī ḳhāmushī kā
tire dil meñ bhī ho dard-e-mohabbat
tirā dil kaash ho jaa.e kisī kā
diloñ meñ hasrat-e-taḳhrīb pinhāñ
laboñ pe zikr sulh-o-āshtī kā
yahī me.arāj hai ḳhud āgahī kī
na toḌo dil zamāne meñ kisī kā
vahī dushman hue haiñ aaj 'āsī'
jo dam bharte the kal tak dostī kā
bhala chahega koi kya kisi ka
ho dushman aadmi jab aadmi ka
jafa-kari hai zinda aap hi se
jafa-kari hai shewa aap hi ka
mera shewa hai iKHlas-o-mohabbat
bura chahunga main kyunkar kisi ka
KHuda ka shukr hai us bewafa ne
sabab puchha hai meri KHamushi ka
tere dil mein bhi ho dard-e-mohabbat
tera dil kash ho jae kisi ka
dilon mein hasrat-e-taKHrib pinhan
labon pe zikr sulh-o-ashti ka
yahi mearaj hai KHud aagahi ki
na toDo dil zamane mein kisi ka
wahi dushman hue hain aaj 'asi'
jo dam bharte the kal tak dosti ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.