bhala kya hain barkha ke mausam ke kahne
bhalā kyā haiñ barkhā ke mausam ke kahne
hasīnoñ ne pahne haiñ phūloñ ke gahne
na ho un hasīnoñ meñ kyoñ jāma-zebī
libās-e-mohabbat jinhoñ ne hoñ pahne
vafā rang laa.ī hai merī ki mujh ko
vo haiñ bevafā.ī ke dete ulahne
muqarrar thā milnā mirā un se lekin
muqaddar meñ the kuchh dinoñ ranj sahne
ajab haal thā dil kī betābiyoñ kā
na jab tak lage paas ham donoñ rahne
mile baa'd muddat to fart-e-ḳhushī se
lage chashm-e-pur-shauq se ashk bahne
na duniyā kī mujh ko ḳhabar hai na diiñ kī
mire dil pe jaadū kiyā hai birah ne
'jalīl' ab to vo shoḳh rahtā hai har-dam
kabhī mere baa.eñ kabhī mere dahne
bhala kya hain barkha ke mausam ke kahne
hasinon ne pahne hain phulon ke gahne
na ho un hasinon mein kyon jama-zebi
libas-e-mohabbat jinhon ne hon pahne
wafa rang lai hai meri ki mujh ko
wo hain bewafai ke dete ulahne
muqarrar tha milna mera un se lekin
muqaddar mein the kuchh dinon ranj sahne
ajab haal tha dil ki betabiyon ka
na jab tak lage pas hum donon rahne
mile ba'd muddat to fart-e-KHushi se
lage chashm-e-pur-shauq se ashk bahne
na duniya ki mujh ko KHabar hai na din ki
mere dil pe jadu kiya hai birah ne
'jalil' ab to wo shoKH rahta hai har-dam
kabhi mere baen kabhi mere dahne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.