bhala kyon faisla wo bhi usi dauran le baiTha
bhalā kyoñ faisla vo bhī usī daurān le baiThā
samajh meñ ab use aayā ki kyā nuqsān le baiThā
use lagtā thā kuchh bhī vo kisī ke saath kar degā
magar kitnā baḌā vo shaḳhs hai nuqsān le baiThā
agar himmat tumheñ hai to akhāḌe meñ laḌo jā kar
kisī lāchār ko to maar apnī shaan le baiThā
agar patthar tirā dil hai to sun le ġhaur se phir tū
samajh le mard kahlāne kī tū pahchān le baiThā
bahut mushkil se miltī hai adab kī zindagī lekin
suḳhan-var kyoñ ise itnā hai phir āsān le baiThā
bhala kyon faisla wo bhi usi dauran le baiTha
samajh mein ab use aaya ki kya nuqsan le baiTha
use lagta tha kuchh bhi wo kisi ke sath kar dega
magar kitna baDa wo shaKHs hai nuqsan le baiTha
agar himmat tumhein hai to akhaDe mein laDo ja kar
kisi lachaar ko to mar apni shan le baiTha
agar patthar tera dil hai to sun le ghaur se phir tu
samajh le mard kahlane ki tu pahchan le baiTha
bahut mushkil se milti hai adab ki zindagi lekin
suKHan-war kyon ise itna hai phir aasan le baiTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.