bhala talash hai kaisi ki KHatm hoti nahin
bhalā talāsh hai kaisī ki ḳhatm hotī nahīñ
kahīñ to paañv Thaharte kahīñ qadam rukte
ḳhayāl aayā tirā aur maiñ ḳhud ko bhuul gayā
simaT ga.e haiñ isī dā.ere meñ sab nukte
ye be-hisī ki kisī tarah TūTtī hī nahīñ
vo phir se ḳhaar chubhotā ki zaḳhm-e-dil dukhte
havā se TūTte pattoñ kā rañj kis ko thā
na bār-e-gul hī thā jin pe tane vo kyā jhukte
me.aar ham ne anā kā sadā rakhā 'zebā'
rahī tamannā hī un ko ki ham kabhī jhukte
bhala talash hai kaisi ki KHatm hoti nahin
kahin to panw Thaharte kahin qadam rukte
KHayal aaya tera aur main KHud ko bhul gaya
simaT gae hain isi daere mein sab nukte
ye be-hisi ki kisi tarah TuTti hi nahin
wo phir se KHar chubhota ki zaKHm-e-dil dukhte
hawa se TuTte patton ka ranj kis ko tha
na bar-e-gul hi tha jin pe tane wo kya jhukte
mear hum ne ana ka sada rakha 'zeba'
rahi tamanna hi un ko ki hum kabhi jhukte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.