bhale din aaen to aane wale bure dinon ka KHayal rakhna
bhale din aaen to aane wale bure dinon ka KHayal rakhna
Rashid Jamaal Farooqi
MORE BYRashid Jamaal Farooqi
bhale din aa.eñ to aane vaale bure dinoñ kā ḳhayāl rakhnā
tamām ḳhushiyoñ ke jamghaToñ meñ bhī thoḌā thoḌā malāl rakhnā
vo jā rahā ho to vāpsī ke tamām imkān jaan lenā
jo lauT aa.e to kaise guzrī ye us se pahlā savāl rakhnā
agar kabhī yuuñ lage ki sab kuchh añdherī rātoñ ke daao par hai
to aisī rātoñ meñ Dar na jaanā to chāñd yādeñ ujaal rakhnā
faqat tasanño faqat takalluf tamām rishte tamām naate
to kyā kisī kā ḳhayāl rakhnā to kyā ravābit bahāl rakhnā
yuuñ hī akele rahā kiye to udaas hoge nirāsh hoge
jo āfiyat chāhte ho 'rāshid' to chand rishte sambhāl rakhnā
bhale din aaen to aane wale bure dinon ka KHayal rakhna
tamam KHushiyon ke jamghaTon mein bhi thoDa thoDa malal rakhna
wo ja raha ho to wapsi ke tamam imkan jaan lena
jo lauT aae to kaise guzri ye us se pahla sawal rakhna
agar kabhi yun lage ki sab kuchh andheri raaton ke dao par hai
to aisi raaton mein Dar na jaana to chand yaaden ujal rakhna
faqat tasanno faqat takalluf tamam rishte tamam nate
to kya kisi ka KHayal rakhna to kya rawabit bahaal rakhna
yun hi akele raha kiye to udas hoge nirash hoge
jo aafiyat chahte ho 'rashid' to chand rishte sambhaal rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.