bhale hi der se tum se kiya izhaar shahzadi
bhale hī der se tum se kiyā iz.hār shahzādī
magar bachpan se karte haiñ tumhīñ se pyaar shahzādī
kahānī meñ kahānī-kār ne sau rang Daale haiñ
magar is meñ hai sab se qīmtī kirdār shahzādī
nahīñ aatā tumhārā ab koī message ki kaise ho
kahāñ itnī busy rahne lagī ho yaar shahzādī
mirī tasvīr ko tum chūmtī ho be-ḳhayālī meñ
nazar aane lage haiñ 'ishq ke āsār shahzādī
tirī sāñsoñ kī lai meñ jab talak shāmil mirī lai hai
tumhārā kaun ho saktā hai dā’vedār shahzādī
bhale hi der se tum se kiya izhaar shahzadi
magar bachpan se karte hain tumhin se pyar shahzadi
kahani mein kahani-kar ne sau rang Dale hain
magar is mein hai sab se qimti kirdar shahzadi
nahin aata tumhaara ab koi message ki kaise ho
kahan itni busy rahne lagi ho yar shahzadi
meri taswir ko tum chumti ho be-KHayali mein
nazar aane lage hain 'ishq ke aasar shahzadi
teri sanson ki lai mein jab talak shamil meri lai hai
tumhaara kaun ho sakta hai da’wedar shahzadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.