bhale logon mein hun to main bhali hun
bhale logoñ meñ huuñ to maiñ bhalī huuñ
agarche maiñ zarā sī sar-phirī huuñ
badan sandal sā hotā jā rahā hai
tirī ḳhushbū meñ jānāñ Dhal rahī huuñ
mohabbat ke samundar meñ utar kar
tirī ulfat ke gauhar chun chukī huuñ
mirī parvāz hai terī badaulat
maiñ chāhat ke ufuq par uḌ rahī huuñ
phisal saktī huuñ tere haath se maiñ
mujhe kas kar pakaḌnā jal-parī huuñ
vafāoñ ke shajar se TuuT kar maiñ
tire dāman meñ aa kar gir paḌī huuñ
gulāboñ ne mirī surḳhī churā lī
chaman meñ har taraf maiñ khil rahī huuñ
mirī ḳhushbū chamelī le uḌī hai
havā meñ itr ban kar ghūmtī huuñ
agarche narm-o-nāzuk huuñ maiñ 'ushba'
tabī.at kī zarā sī manchalī huuñ
bhale logon mein hun to main bhali hun
agarche main zara si sar-phiri hun
badan sandal sa hota ja raha hai
teri KHushbu mein jaanan Dhal rahi hun
mohabbat ke samundar mein utar kar
teri ulfat ke gauhar chun chuki hun
meri parwaz hai teri badaulat
main chahat ke ufuq par uD rahi hun
phisal sakti hun tere hath se main
mujhe kas kar pakaDna jal-pari hun
wafaon ke shajar se TuT kar main
tere daman mein aa kar gir paDi hun
gulabon ne meri surKHi chura li
chaman mein har taraf main khil rahi hun
meri KHushbu chameli le uDi hai
hawa mein itr ban kar ghumti hun
agarche narm-o-nazuk hun main 'ushba'
tabiat ki zara si manchali hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.