bhale ujle hi pahnawe hue hain
bhale ujle hī pahnāve hue haiñ
bashar dil se magar kaale hue haiñ
qarībī dost the jitne hamāre
gagan ke āj-kal taare hue haiñ
hue pāgal sabhī fashion ke pīchhe
paḌe roTī ke bhī laale hue haiñ
bache kuchh haiñ shajar jo is zamīñ par
abhī sāñseñ vahī thāme hue haiñ
milī jab se hameñ daulat achānak
ki rishte-dār ab saare hue haiñ
paḌī gāñTheñ diloñ meñ pyaar ke phir
'anil' kamzor yuuñ dhāge hue haiñ
bhale ujle hi pahnawe hue hain
bashar dil se magar kale hue hain
qaribi dost the jitne hamare
gagan ke aaj-kal tare hue hain
hue pagal sabhi fashion ke pichhe
paDe roTi ke bhi lale hue hain
bache kuchh hain shajar jo is zamin par
abhi sansen wahi thame hue hain
mili jab se hamein daulat achanak
ki rishte-dar ab sare hue hain
paDi ganThen dilon mein pyar ke phir
'anil' kamzor yun dhage hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.