bhanwar mein mashware pani se leta hun
bhañvar meñ mashvare paanī se letā huuñ
maiñ har mushkil ko āsānī se letā huuñ
jahāñ dānā.ī detī hai koī mauqa.a
vahāñ maiñ kaam nādānī se letā huuñ
vo mansūbe haiñ kuchh ābād hone ke
maiñ jin par raa.e vīrānī se letā huuñ
ab apne ābloñ kī ghāTiyoñ se bhī
samundar dekh āsānī se letā huuñ
nahīñ letā magar lene pe aa.uuñ to
maiñ badla aag kā paanī se letā huuñ
nazar-andāz kar detī hai jab duniyā
janam ḳhud apnī hairānī se letā huuñ
jahāñ mushkil meñ paḌ jaate haiñ gird-o-pesh
vahāñ maiñ saañs āsānī se letā huuñ
lagātā hai mirī bīnā.ī par tohmat
maiñ fatve jis kī uryānī se letā huuñ
bhanwar mein mashware pani se leta hun
main har mushkil ko aasani se leta hun
jahan danai deti hai koi mauqa
wahan main kaam nadani se leta hun
wo mansube hain kuchh aabaad hone ke
main jin par rae virani se leta hun
ab apne aablon ki ghaTiyon se bhi
samundar dekh aasani se leta hun
nahin leta magar lene pe aaun to
main badla aag ka pani se leta hun
nazar-andaz kar deti hai jab duniya
janam KHud apni hairani se leta hun
jahan mushkil mein paD jate hain gird-o-pesh
wahan main sans aasani se leta hun
lagata hai meri binai par tohmat
main fatwe jis ki uryani se leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.