bhanwar mein pair the aur aankh ek sitare par
bhañvar meñ pair the aur aañkh ik sitāre par
ulajh rahī thī nazar dūsre kināre par
takān oḌh to leñ ham na.ī masāfat kī
tarāsh deñ na havā.eñ kahīñ hamāre par
na-jāne sehr thā kaisā kisī kī āñkhoñ meñ
ham apne ghar se nikal aa.e ik ishāre par
zamīñ pe phir koī jā-e-amān mil na sakī
mujhe kisī ne bulāyā thā ik sitāre par
gumāñ ke āḳhirī pal meñ yaqīñ milā hai vo
hamīñ yahāñ haiñ hamīñ dūsre kināre par
bhanwar mein pair the aur aankh ek sitare par
ulajh rahi thi nazar dusre kinare par
takan oDh to len hum nai masafat ki
tarash den na hawaen kahin hamare par
na-jaane sehr tha kaisa kisi ki aankhon mein
hum apne ghar se nikal aae ek ishaare par
zamin pe phir koi ja-e-aman mil na saki
mujhe kisi ne bulaya tha ek sitare par
guman ke aaKHiri pal mein yaqin mila hai wo
hamin yahan hain hamin dusre kinare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.