bhanwar se bach ke wo sahil ke pas Dub gaya
bhañvar se bach ke vo sāhil ke paas Duub gayā
jahāñ kā dekh ke ḳhauf-o-hirās Duub gayā
ajab se ḳhauf meñ lipTā hai gaañv kā panghaT
sunā hai phir se koī devdās Duub gayā
mujhe sharāb hī itnī milī thī duniyā se
ki maare sharm ke merā gilās Duub gayā
gavāra ho na sakā us ko bahr kā ehsān
laboñ pe le ke qayāmat kī pyaas Duub gayā
kahūñ to kis se kahūñ apne dil kī taklīfeñ
mire hī ġham meñ mirā ġham-shanās Duub gayā
huā jo sāmnā sūraj kā mere zaḳhmoñ se
falak pe chhoḌ ke apnā libās Duub gayā
'nadīm' apne ġhamoñ se nikal chukā thā magar
ġham-e-jahān se ho kar udaas Duub gayā
bhanwar se bach ke wo sahil ke pas Dub gaya
jahan ka dekh ke KHauf-o-hiras Dub gaya
ajab se KHauf mein lipTa hai ganw ka panghaT
suna hai phir se koi dewdas Dub gaya
mujhe sharab hi itni mili thi duniya se
ki mare sharm ke mera gilas Dub gaya
gawara ho na saka us ko bahr ka ehsan
labon pe le ke qayamat ki pyas Dub gaya
kahun to kis se kahun apne dil ki taklifen
mere hi gham mein mera gham-shanas Dub gaya
hua jo samna suraj ka mere zaKHmon se
falak pe chhoD ke apna libas Dub gaya
'nadim' apne ghamon se nikal chuka tha magar
gham-e-jahan se ho kar udas Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.