bhar chuka phir se mere sine ka chhaala aa ja
bhar chukā phir se mire siine kā chhālā aa jā
sun bhī le āshiq-e-dil-gīr kā naala aa jā
jiinā chāhat meñ tirī marnā mohabbat meñ tirī
kahāñ miltā hai koī chāhne vaalā aa jā
aa lab-e-bām maiñ jangal kī taraf jaatā huuñ
ġhairoñ ne phir mujhe bastī se nikālā aa jā
chhap gayā bādaloñ meñ chāñd sitāre bhī ḳhamosh
hove tere ruḳh-e-raushan se ujālā aa jā
raftagāñ ne dī sadā kitnī mohabbat se mujhe
bāñdh le raḳht-e-safar ālam-e-bālā aa jā
ai 'jalālī' na kuchh ulfat na vafā duniyā meñ
aa likheñ mil ke mohabbat kā risāla aa jā
bhar chuka phir se mere sine ka chhaala aa ja
sun bhi le aashiq-e-dil-gir ka nala aa ja
jina chahat mein teri marna mohabbat mein teri
kahan milta hai koi chahne wala aa ja
aa lab-e-baam main jangal ki taraf jata hun
ghairon ne phir mujhe basti se nikala aa ja
chhap gaya baadalon mein chand sitare bhi KHamosh
howe tere ruKH-e-raushan se ujala aa ja
raftagan ne di sada kitni mohabbat se mujhe
bandh le raKHt-e-safar aalam-e-baala aa ja
ai 'jalali' na kuchh ulfat na wafa duniya mein
aa likhen mil ke mohabbat ka risala aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.