bhar din shabab ne ye un aankhon mein shoKHiyan
bhar diiñ shabāb ne ye un āñkhoñ meñ shoḳhiyāñ
til bhar bhī ab jagah nahīñ un meñ hayā kī hai
pheñk aa.e us ko jā ke vo kū-e-raqīb meñ
miTTī ḳharāb mere dil-e-mubtalā kī hai
detā huuñ dil ḳhushī se mirī jaan chhoḌiye
is ko na lījiye ye amānat ḳhudā kī hai
tauba na muñh lagā.egī rindoñ ko duḳht-e-raz
qālib meñ us ke ruuh kisī pārsā kī hai
tere hinā.ī haath tak un ko hai dastaras
ai rashk-e-gul chaman meñ ye qismat hinā kī hai
lākhoñ shahīd-e-nāz ga.e haiñ jahān se
mulk-e-adam meñ dhuum tumhārī jafā kī hai
choTī ke sher tū ne kahe is zamīn meñ
sach hai 'vasīm' terī tabī.at balā kī hai
bhar din shabab ne ye un aankhon mein shoKHiyan
til bhar bhi ab jagah nahin un mein haya ki hai
phenk aae us ko ja ke wo ku-e-raqib mein
miTTi KHarab mere dil-e-mubtala ki hai
deta hun dil KHushi se meri jaan chhoDiye
is ko na lijiye ye amanat KHuda ki hai
tauba na munh lagaegi rindon ko duKHt-e-raz
qalib mein us ke ruh kisi parsa ki hai
tere hinai hath tak un ko hai dastaras
ai rashk-e-gul chaman mein ye qismat hina ki hai
lakhon shahid-e-naz gae hain jahan se
mulk-e-adam mein dhum tumhaari jafa ki hai
choTi ke sher tu ne kahe is zamin mein
sach hai 'wasim' teri tabiat bala ki hai
- Book : Aqa-e-sukhan waseem Khairabadi hayat aur karname (Pg. 270)
- Author : Waseem Khairabadi
- Publication : Farid Bilgrami, Bilgrami Building Miyan Sarai Khairabad sitapur (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.