bhar ke palkon ke darmiyan miTTi
bhar ke palkoñ ke darmiyāñ miTTī
ham ne ḳhud kar diyā jahāñ miTTī
ḳhvāb duniyā se kuchh alag dekhe
āsmāñ farsh sā.ebāñ miTTī
jāntīñ gar abū-turāb kī bū
rakhtīñ nāfoñ meñ hirniyāñ miTTī
āb-o-dāna to uTh chukā kab kā
dekheñ le jaa.e ab kahāñ miTTī
marhale-vār ho chuke ham bhī
aag paanī havā dhuāñ miTTī
bhar ke palkon ke darmiyan miTTi
hum ne KHud kar diya jahan miTTi
KHwab duniya se kuchh alag dekhe
aasman farsh saeban miTTi
jaantin gar abu-turab ki bu
rakhtin nafon mein hirniyan miTTi
aab-o-dana to uTh chuka kab ka
dekhen le jae ab kahan miTTi
marhale-war ho chuke hum bhi
aag pani hawa dhuan miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.