bhar ke zulmat dil dukhaegi
bhar ke zulmāt dil dukhā.egī
rāt-bhar raat dil dukhā.egī
merī auqāt pūchhne vāloñ
merī auqāt dil dukhā.egī
itnī dīvāngī bhī Thiik nahīñ
husn kī zaat dil dukhā.egī
ab ke barsāt tum nahīñ hoge
ab ke barsāt dil dukhā.egī
vasl kī raat yaad aa.egī jab
hijr kī raat dil dukhā.egī
haa.e guzregī mere kūche se
us kī bārāt dil dukhā.egī
āḳhirī baar ham mileñge aur
ye mulāqāt dil dukhā.egī
aisā sochā na thā 'ananyā' kabhī
us kī ab baat dil dukhā.egī
bhar ke zulmat dil dukhaegi
raat-bhar raat dil dukhaegi
meri auqat puchhne walon
meri auqat dil dukhaegi
itni diwangi bhi Thik nahin
husn ki zat dil dukhaegi
ab ke barsat tum nahin hoge
ab ke barsat dil dukhaegi
wasl ki raat yaad aaegi jab
hijr ki raat dil dukhaegi
hae guzregi mere kuche se
us ki baraat dil dukhaegi
aaKHiri bar hum milenge aur
ye mulaqat dil dukhaegi
aisa socha na tha 'ananya' kabhi
us ki ab baat dil dukhaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.