bhar nazar dekhenge hum usko mila jaanan agar
bhar nazar dekheñge ham us ko milā jānāñ agar
deveñge rone se fursat dīda-e-giryāñ agar
hashr meñ insāf to hogā va-lekin us ko dekh
haal apnā kah sakegā āshiq-e-hairāñ agar
ai musalimānāñ kareñge ham salām us dam tumheñ
aa gayā īdhar ko vo ġhārat-gar-e-īmāñ agar
dil ko karte ho tavaqqo jab ke is ġham se haa.e
ishq ke āġhāz kā hotā kahīñ pāyāñ agar
ai 'razā' va.adoñ se us ke aaj kyuuñ hotā ḳharāb
kal hī kar letā vafā kā us kī tū paimāñ agar
bhar nazar dekhenge hum us ko mila jaanan agar
dewenge rone se fursat dida-e-giryan agar
hashr mein insaf to hoga wa-lekin us ko dekh
haal apna kah sakega aashiq-e-hairan agar
ai musalimanan karenge hum salam us dam tumhein
aa gaya idhar ko wo ghaarat-gar-e-iman agar
dil ko karte ho tawaqqo jab ke is gham se hae
ishq ke aaghaz ka hota kahin payan agar
ai 'raza' wadon se us ke aaj kyun hota KHarab
kal hi kar leta wafa ka us ki tu paiman agar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.