bhara kamal-e-wafa sen KHayal ka shisha
bharā kamāl-e-vafā señ ḳhayāl kā shīsha
ki ho.e badr señ puurā hilāl kā shīsha
vo ḳhush-dahan kī judā.ī señ narm gulshan meñ
har ek ġhuncha hai rañg-e-malāl kā shīsha
ḳhayāl-e-āriz-e-gul-rañg kī tajallī señ
hai aa.ina araq-e-infi.āl kā shīsha
tamām bū-qalamūnī kā hai tajallī-gāh
nahīñ ḳhudā.ī meñ dil kī misāl kā shīsha
chaman meñ āzim-e-holī hai vo basantī-posh
huā hai ġhuncha-e-lālā gulāl kā shīsha
ḳhushī señ charḳh meñ hai āftāb kī mānind
milā jise mai-e-nūr-e-jamāl kā shīsha
nabī kī aal kā ahvāl sun huā pur-ḳhūñ
'sirāj' dil hai mirā rañg-e-āl kā shīsha
bhara kamal-e-wafa sen KHayal ka shisha
ki hoe badr sen pura hilal ka shisha
wo KHush-dahan ki judai sen narm gulshan mein
har ek ghuncha hai rang-e-malal ka shisha
KHayal-e-ariz-e-gul-rang ki tajalli sen
hai aaina araq-e-infial ka shisha
tamam bu-qalamuni ka hai tajalli-gah
nahin KHudai mein dil ki misal ka shisha
chaman mein aazim-e-holi hai wo basanti-posh
hua hai ghuncha-e-lala gulal ka shisha
KHushi sen charKH mein hai aaftab ki manind
mila jise mai-e-nur-e-jamal ka shisha
nabi ki aal ka ahwal sun hua pur-KHun
'siraj' dil hai mera rang-e-al ka shisha
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 344)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.