bhare ghar mein akela-pan ajab tha
bhare ghar meñ akelā-pan 'ajab thā
na.e insān kā jīvan 'ajab thā
parinde phaḌphaḌā ke chīḳh uTThe
shajar ke pattoñ kā kampan 'ajab thā
sulagtā hī rahā maiñ zindagī bhar
ġham-e-'ayyām kā īñdhan 'ajab thā
uThāyā baḌh ke har ik sho’la-e-ġham
mirī ummīd kā dāman 'ajab thā
har ik lamha usī kā 'aks dekhā
nigāh-e-shauq kā darpan 'ajab thā
tire vā'doñ pe ham īmān laa.e
hamāre dil kā bholā-pan 'ajab thā
chalā jā.ūñgā us ke shahr se maiñ
shab-e-hijrāñ mirā chintan 'ajab thā
mohabbat meñ sukūñ kī aarzū thī
hamāre dil kā pāgalpan 'ajab thā
dukhoñ kī aag thī 'parkāsh' har-sū
hamārī ziist kā sādhan 'ajab thā
bhare ghar mein akela-pan 'ajab tha
nae insan ka jiwan 'ajab tha
parinde phaDphaDa ke chiKH uTThe
shajar ke patton ka kampan 'ajab tha
sulagta hi raha main zindagi bhar
gham-e-'ayyam ka indhan 'ajab tha
uThaya baDh ke har ek sho’la-e-gham
meri ummid ka daman 'ajab tha
har ek lamha usi ka 'aks dekha
nigah-e-shauq ka darpan 'ajab tha
tere wa'don pe hum iman lae
hamare dil ka bhola-pan 'ajab tha
chala jaunga us ke shahr se main
shab-e-hijran mera chintan 'ajab tha
mohabbat mein sukun ki aarzu thi
hamare dil ka pagalpan 'ajab tha
dukhon ki aag thi 'parkash' har-su
hamari zist ka sadhan 'ajab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.