bhare to kaise parinda bhare uDan koi
bhare to kaise parinda bhare uḌaan koī
nahīñ hai tiir se ḳhālī yahāñ kamān koī
thiiñ āzmā.isheñ jitnī tamām mujh pe huiiñ
na bach ke jā.egā ab mujh se imtihān koī
ye totā mainā ke qisse bahut purāne haiñ
hamāre ahd kī ab chheḌo dāstān koī
na.e zamāne kī aisī kuchh āñdhiyāñ uTThīñ
rahā safīne pe baaqī na bādbān koī
bikhar ke rah ga.iiñ rishtoñ kī saarī zanjīreñ
bachā sakā na rivāyat ko ḳhāndān koī
'zakī' hamārā muqaddar haiñ dhuup ke ḳheme
hameñ na raas kabhī aayā sā.ebān koī
bhare to kaise parinda bhare uDan koi
nahin hai tir se KHali yahan kaman koi
thin aazmaishen jitni tamam mujh pe huin
na bach ke jaega ab mujh se imtihan koi
ye tota maina ke qisse bahut purane hain
hamare ahd ki ab chheDo dastan koi
nae zamane ki aisi kuchh aandhiyan uTThin
raha safine pe baqi na baadban koi
bikhar ke rah gain rishton ki sari zanjiren
bacha saka na riwayat ko KHandan koi
'zaki' hamara muqaddar hain dhup ke KHeme
hamein na ras kabhi aaya saeban koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.