bhare zaKHm phir taza dam dekhte hain
bhare zaḳhm phir taaza dam dekhte haiñ
ajab dostoñ ke karam dekhte haiñ
koī lashkar-e-fātehīñ jā rahā hai
fazāoñ meñ ūñche alam dekhte haiñ
ḳhayāl-e-sanam bhī jamāl-e-sanam hai
ab is taur rū-e-sanam dekhte haiñ
banī qatl gāheñ ye galiyāñ ye kūche
ajab maut kā raqs ham dekhte haiñ
kahīñ pal rahe haiñ amīroñ ke kutte
kahīñ muflisī ke sitam dekhte haiñ
utar kar falak se sitāre bhī 'shāfī'
tirī zulf kā pech-o-ḳham dekhte haiñ
bhare zaKHm phir taza dam dekhte hain
ajab doston ke karam dekhte hain
koi lashkar-e-fatehin ja raha hai
fazaon mein unche alam dekhte hain
KHayal-e-sanam bhi jamal-e-sanam hai
ab is taur ru-e-sanam dekhte hain
bani qatl gahen ye galiyan ye kuche
ajab maut ka raqs hum dekhte hain
kahin pal rahe hain amiron ke kutte
kahin muflisi ke sitam dekhte hain
utar kar falak se sitare bhi 'shafi'
teri zulf ka pech-o-KHam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.