bhari aankhon se gar usko takun aamin kah dena
bharī āñkhoñ se gar us ko takūñ āmīn kah denā
barā.e bebasī gar chup rahūñ āmīn kah denā
ḳhudā har faisla terā mujhe manzūr hai lekin
agar mahv-e-duā vo naam luuñ āmīn kah denā
sambhalne kī koī sūrat mohabbat meñ nahīñ hotī
lihāzā laḌkhaḌā kar jab girūñ āmīn kah denā
usī ik naam par saarī ḳhudā.ī aa ke Thahrī hai
jab us ke saath naam apnā likhūñ āmīn kah denā
zamāna iltijā hai haath jab us ke uThe dekho
rahūñ maiñ tab talak yā nā rahūñ āmīn kah denā
masarrat muntazir rahtī ho us ke ḳhair-maqdam ko
zarā sā ḳhvāb hai bas jyuuñ ke tyuuñ āmīn kah denā
vazīfa jab paḌhūñ maiñ us ke haq meñ ai ḳhudā tū bhī
na rakhnā shart koī jab kahūñ āmīn kah denā
bhari aankhon se gar us ko takun aamin kah dena
barae bebasi gar chup rahun aamin kah dena
KHuda har faisla tera mujhe manzur hai lekin
agar mahw-e-dua wo nam lun aamin kah dena
sambhalne ki koi surat mohabbat mein nahin hoti
lihaza laDkhaDa kar jab girun aamin kah dena
usi ek nam par sari KHudai aa ke Thahri hai
jab us ke sath nam apna likhun aamin kah dena
zamana iltija hai hath jab us ke uThe dekho
rahun main tab talak ya na rahun aamin kah dena
masarrat muntazir rahti ho us ke KHair-maqdam ko
zara sa KHwab hai bas jyun ke tyun aamin kah dena
wazifa jab paDhun main us ke haq mein ai KHuda tu bhi
na rakhna shart koi jab kahun aamin kah dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.