bhari aati hain har ghaDi aankhen
bharī aatī haiñ har ghaḌī āñkheñ
goyā sāvan kī haiñ jhaḌī āñkheñ
nargis aaTh aaTh aañsū rotī hai
yaad kar vo baḌī baḌī āñkheñ
sharar-afshānī-e-sarishk se raat
thiiñ mirī jaise phuljhaḌī āñkheñ
juuñ qalam-rau rahī haiñ ashk-e-siyāh
dekh is missī kī dhaḌī āñkheñ
'mus.hafī' dekh bad balā hai vo shoḳh
na milā us se har ghaḌī āñkheñ
bhari aati hain har ghaDi aankhen
goya sawan ki hain jhaDi aankhen
nargis aaTh aaTh aansu roti hai
yaad kar wo baDi baDi aankhen
sharar-afshani-e-sarishk se raat
thin meri jaise phuljhaDi aankhen
jun qalam-rau rahi hain ashk-e-siyah
dekh is missi ki dhaDi aankhen
'mushafi' dekh bad bala hai wo shoKH
na mila us se har ghaDi aankhen
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 199)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.